Inaayat
Andekhe khwaabon ko tumhari nazar ki zaroorat hai,
Zindagi ke rooh ko mohabbat ki zaroorat hai.
Khwaab toot jaate hain kaanch ke tukdon ki tarah,
Jazbaaton ke sailaab mein sookhe aansuon ki tarah.
Armaanon ke bhawar mein kyun kho gaye jazbaat mere?
Khuda ke azaanon mein bhi dabe hain kahin aansu mere.
Be-panah mohabbat se fakat alehda hai zindagi tumhari,
Gar surkh phoolon mein zinda hai aaj bhi khushboo tumhari...
8 comments/suggestions:
anu the last line is vry b'ful!i dnt knw why it touched me so much!
these lines are good attempt but....
kuch maja nahi aaya...i think due to complex Urdu words!!!
Sorry
HI ANU,UR LINES HAVE JUST WENT VERY DEEP INSIDE MY HEART.I FEELS THAT U HAVE WRITTEN MY FEELINGS.THANKS FOR IT ANDI HOPE THAT THIS WILL CONTNUE.
Wow, where'd you get that picture from?
HI Anu,beautiful lines penned by u.i think u r getting the benefit of urdu knowledge.hope some more lines by u in recent future.cheers
the pics in ur blogs rock big time!!!
wah wah wah wah :)
Hansna to sab ko aata hai, main tarasta raha ik bahaane ko
Mere lawz mujh tak hi na pahunche , kya kahun main is zamaane ko
Aansun tham gaye ro-rokar ab, lamha lamha yun guzarata gaya
Intezaar main palkein bichhaye baithe the, koi aaya na par manaane ko
Haathon se rait simat-ti gayi, laakh koshish ki uthaane ki
Zindagi ko samajhaane baitha tha, samajh na paaya ik afsaane ko
Dhoop se kya shikwa karun , maine har pal chaaha chhaaya ko
Shama beshumaar thi saamne, par main dhoondta raha parwaane ko
Kisi aur ka na ho saka kabhi, aur koi mera na hua
Kya dil ko samajhaun baad tere, Kya naam dun is deewaane ko
Hansna to sab ko aata hai, main tarasta raha ik bahaane ko
Mere lawz mujh tak hi na pahunche , kya kahun main is zamaane ko
Post a Comment